Jab kabhi humare Indian culture mein ek ladki paida hoti hai thou as ke saath humesha kai rishtey jud jaatey hain jaise pehla rishta maa. Fir baap bhai bhen chacha chachi mamu mamani dada dadi nana nanai. Jaise jaise wo ladki badi hone lagti hai tho school jati jati hai tho wahan pehla rishta milta hai teacher ka dost miltey hain aur badi hoti hai tho college mein jati hai wahan naye dost miltey hai kisi se pyar hojata hai. Aur khuda na khasta wo pyar tut jaye tho aagey chal kisi anjane shakhs se shadi hojati hai fir se nayi zindagi shuru hojati hai shohar saas sasur devar nanad fir aur aagye chal kar maa ban jati hai…………….
Ek zindagi mein ek beti. Beti se biwi aur biwi se maa ban jati hai aur ias lambe safar mein uas beti uas biwi uas maa. Ke saath anginat rishtey jud jaatey hain par itne saarey rishtey ek ladki ko kya dete hain aisi hi ek kahani hai. Khamosh paani....